
Jasbaton ko pankh na dena
yeh toh mann ki baaten hain
Jasbaton ko hawa na dena
yeh beeten pal ki yaaden hain
Mann hain toh khoyega hi,
Dil hain toh royega hi
Pal ki baaten Pal hi jane
Palkon se kya parda
Kehta na yeh dil ki baaten
bas JASBATON ki sparda
Rootha hu aaj agar main
ismey tera kya dosh
Rootha hu aaj agar main
ismey tera kya dosh
Jasbaton ne hawa jo le li...
Ab kya khuda.,,,kya ghalib...kya hosh..
Jasbaton ne pankh pasara
Zidd ne li angrai
Jasbaton ne hosh sambhala
Par samai ki thi duhai
Ab toh sab kuch bol chuka hu
rehne de tu zalim
samay chorr kar ab kya samjha....
Jasbaton ki taalim?
Rounga na ab main wapas
jasbaat na hi saccha hain
Par roku kaise main apne dil ko?
Dil toh aakhir bacha hain!
Jasbaton ko pankh na dena....
jasbaton ko hawa na dena...